duniya bhar kiya talaash
khud ko paya apne paas
kehne sunne ki nahi
yeh samajhne ki hai baat
raasta naapo aao socho
khud ko khoje jaaye kaha?
dil ye namm
khoon garam
rag rag beh-beh jaaye kaha?
beh ke aana hai dariya ko
saagar paana hai dariya ko
suno ye baat
meri saugaat
khatam kar aaja ab sasta
tum se tum tak ka rasta
namm namm hai teri aankhen
gham gham hai saari raatein
hal kare apni mulakatein
hasi maze ki sab baatein
kush hojao toh zyaada
chal baate adha adha
na reh aise chur chur
dard hoga durr zaroor
suno ye baat
meri saugaat
khatam kar aaja ab sasta
tum se tum tak ka rasta
No comments:
Post a Comment