Wednesday, May 1, 2019

darya

mujhe na bata
tere dil mein kya hai
mujhe na pata
aakhir kyun ye faasla hai
ye kitna gehra hai?
ye kitna uthala hai?
manzil paas toh hai
par duur kyun lagta hai.
in faaslon ke samandar pe
banke naav utar jaaon
ik aakhri hadd hai
isko paar kar jaaon
mere dil ke sab rang
teri aankh mein bhar jaaon

No comments:

Post a Comment